Showing posts with label Urdu hikayat. Show all posts
Showing posts with label Urdu hikayat. Show all posts

Sunday, October 14, 2018

Sheeren kalam aur narm zuban

Sheeren kalam aur narm zuban insan ke
gusse ki aag par pani ka sa asar rakhti hai
---Shaikh saadi---

شیریں کلام اور نرم زبان انسان کے غصے کی آگ
پر پانی کا سا اثر رکھتی ہے۔
شیخ سعدیؒ

Thursday, September 15, 2016

faqeer ko de Dalta hai

Agar mard-e-khuda ko ek roTi mile to wo aadhi faqeer ko
de Dalta hai
agar harees ko ek mulk ki badshahat bhi mil
jaye to wo doosra pane ke khayal mein rehta hai...
'urdu hikayat'
achi baten facebook,sunehri batein,urdu aqwal-e-zareen
Urdu hikayat

Monday, July 25, 2016

Jo dukh de usse chor do

Jo dukh de usse choR do magar jisse choR do usse dukh na do...
Din ki roshni mein rizq talash karo rat ko usse talash karo jo rizq deta hai..
Agar "ALLAH" ki ibadat nahi kar sakte to gunah karna choR do...
Aasman par nigah zaroor rakho magar ye mat bhoolo k paon zameen par hi rakhe jate hain..
'Urdu hikayat'
hikayat-e-saadi,sunehri hikayaten,achi batein facebook
Hikayat-e-saadi

Tuesday, March 24, 2015

Allah ki naimatein

Sheikh Saadi se kisi ne poocha haal kaisa hai
jawab diya! ALLAH ki naimatein kha kha kar dant
TooT gaye magar zuban uski nashukri se baaz
nahi Aati....(Sheikh Saadi)
'urdu hikayat'
urdu hikayaein, danai ki batain, sunehri batain
urdu hikayat

Thursday, December 25, 2014

Honi se kya Darna

'Honi se kya Darna'
Ek shakhs mallah k saath kashti mein safar kar raha tha
samandar mein khofnak lehrain kashti k sath zor zor se
Takra rahi thi. Aadmi ne mallah se sawal kya kya tumhain
kashti chalate hue khof mehsoos nahi hota? mallah ne jawab
dya nahi! aadmi ne phir pucha tumhare baap ki wafat kaise hui?
mallah ne jawab dya samandri tufaan ki waja se aadmi ne phir
poocha aur tumhare dada ka kaise intaqal hua? mallah ne jawab
dya wo bhi issi tarah fot hue they aadmi ne poocha iske bawajud
bhi tumhain kashti se Dar nahi lagta? mallah ne aadmi se sawal
kya janaab aap ke walid sahab kahan fot hue? aadmi ne kaha bistar
par,mallah ne phir dada k mutalaq pucha to uss aadmi ne kaha k wo
bhi bistar par hi guzar gaye, iss par mallah ne barjusta poocha
Aap ko bistar par sone se Dar nahi lagta....
"Urdu hikayatain, hikayat"
sunehri hikayatein , sunehre huruf , danayi ki batain
Urdu hikayat pix

Thursday, December 4, 2014

Shukar kaise ada karu

Kisi ne hakeem bu ali sina se pucha aap ke din kaise
guzar rahe hain,jawab diya gunahgar hone k bawajuood
Allah taala ki Nematein mujh par baras rahi hain samajh
man nahi aata k mein kis bat par Allah Taala ka shukar
ada karun
Nematon ki kasrat par ya gunahon se dar
guzar karne par?.....
'Urdu hikayat'
anmol moti,sunehri batain,urdu hikayatein
Urdu hikayat

Sunday, November 16, 2014

Nek aur parsa aurat

Achi Aadat ki nek aur parsa aurat
agar faqeer k ghar bhi ho to usse
badshah bana deti hai.....
'hikayat e sheikh saadi'
hikayat in urdu , urdu achi batein , aqwal-e-zareen facebook
Hikayat images

Monday, October 13, 2014

Dost dushman na ho jaye

Jo baat dushman se posheeda rakhna chahte ho wo baat
Dost se bhi posheeda rakho, mubaada wo bhi kisi din
dushman na ho jaye...(Hazrat Luqman)
'Urdu Hikayaten'
urdu hikayat, urdu hikayatein, aqwal e zareen
urdu hikayatein pics

Sunday, September 28, 2014

Tum kis dunya par fakhar karte ho

Tum kis dunya par fakhar karte ho
jis ka behtreen mashroob makhi ka thook "Shehed" hai
jis ka behtreen libaas keeRey ka thook "Resham" hai
Mujhe is dunya se kya lena
jiske halaal mein "hisaab" hai
aur haraam mein "azaab" hai
(Shaikh-Saadi)
'Shaikh-Saadi urdu hikayat'
urdu hikayat, hikayatein in urdu
urdu hikayatain images

Wednesday, August 13, 2014

Pareshani ya aazmaish

Hazrat ali (RA) se kisi ne poocha: ye kaise
patta chale ga k jo pareshani ya museebat
hum par aaei hai wo allah ki taraf se aazmaish
hai? ya hum par allah ki taraf se saza hai..
Aap ne jawab dya
jo museebat tujhe allah ki taraf le jaye aazmaish hai
jo museebat tujhe allah se door kar de saza hai....
'urdu hikayatain'
urdu hikayat
urdu hikayat

Saturday, July 19, 2014

Mout ka waqt

Ek aese aadmi ne jis k haath paon kaTey hue the uss ne ek
khankhjurey ko maar Dala ek saahib e batin ka wahan se
guzar hua kehne laga subhanallah ye keeRa hazaar paon
rakhta tha lekin jab uski mout ka waqt Aan pohncha to
ek Be-dast-o-pa k haath se na bhaag saka
'shaikh saadi urdu hikayat'
urdu hikayaten
urdu hikayat pics

Wednesday, July 16, 2014

Tawakal seekhna hai to

Tawakal seekhna hai to parindo se seekho
k wo jab shaam ko ghar loTte hain to unki
chonch mein kal k liye koi dana nahi hota
'Shaikh saadi hikayatain'
urdu hikmat ki batain
Urdu hikayat images

Sunday, July 6, 2014

Sabar ka badla

Insan k andar khwahish ka peda hona galat nahi uss ka
be lagam ho jana galat hai,kyonke khwahishat ki andhi
pervi insan k paas ye moqa nahi choRti k wo Aakhirat k
liye sarmaya kari kare yahi waja hai ke Quran mein jaga
jaga janat ko sabar ka badla qaraar dia gaya hai....
Hazrat Abu yahya
'Hikayat in urdu'
anmol sunehri hikayatain
hikayatain images

Saturday, July 5, 2014

meri yaad bhi aayi hai

Ek badshah ne ek pak baaz aadmi se poocha ke Aap ko
kabhi meri yaad bhi Aayi hai-unhon ne farmaya HaaN !
jab mein khuda ko bhool jata hu
'Hikayat in urdu'
saadi urdu hikayat hikayaten
Hikayatain in urdu

Insan ko jitna lagao rizq se hai

Ek daffa ek murshid kamil apne ek mureed se farma
rahe they k Ae beTe! insan ko jitna lagao rizq se hai
itna lagao rizq dene wale se hota to uss ka muqaam
farishton se baRh jata.....
'Hikayat Sheikh Saadi'
hikayat e saadi facebook
Hikayat saadi images